Sunday, July 18, 2010

Beautiful Shayari............



Barsat Ki Har Bund Me Samayi Ho

Tummeri Dil Me Khaas Jagah Banaya Hu

Aap You To Humdard Ki Kami Nahi Mujhe Par
Na Jaane Kyu Aaj Bahut Yaad Aa Rahi Ho Tum !




Kisi Ko Kisi Ke Dil Se Nikala Nahi Jata,

Paas Bula Ke Phir Dur Bhagaya Nahi Jata,
Kyun Samjte Nahi Hai Ye Log Ki Pyaar Ek
Ehsas Hai Jo Dil Se Hataya Nahi Jata !!

Dil Ki Hasarat Zuba Par Aane Lage
Aap Ne Dekha Aur Zindagi Muskurane Lagi
Ye Pyaar Tha Ya Meri Divangi
Har Surat Me Surat Teri Nazar Aane Lage !!



Kaise Kahe Ki Apna Bana Lo Mujhe,
Bahon Me Apni Sama Lo Mujhe,
Bin Tumhare Ek Pal Bhi Kat Ta Nahi,
Tum Aa Kar Mujhi Se Chura Lo Mujhe !!

Aazmais Rishto Me Zaruri Hoti Hai
Na Mil Pana Kisi Ki Majburi Hoti Hai,
Yaad To Door Se Bhi Kar Sakte Hai
Lekin,Dil Ki Hasrat To Milkar Hi Puri Hoti Hai !!

Aakhe Bhi Meri Palko Se Sawal Karti Hai,
Har Waqt Aap Hi Ko Yaad Karti Hai,
Jab Tak Na Dekhe Aap Ka Chehra,
Tab Tak Wo Aap Ke Aane Ka Intezar Karti Hai !!

Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Sacha Pyar Karne Ki Kya Khub Saza Mili !!

Royegi Ye Aankhe Muskurane Ke Bad,
Aayegi Rat Din Dhal Jane Ke Bad,
Tum Kabi Na Ruthna Mujse Ae Yaar,
Sayad Ye Zindagi Hi Na Ruth Jaaye,Tumare Ruth Jane Ke Bad !!

Koi Khwab In Aankho Me Sajaya Hi Nahi,
Hamare Dil Ki Gehrai Ko Koi Samajh Paya Hi Nahi,
Kisi Ko Mehsus Ho Kami Hamari,
Khuda Ne Shayad Hame Aisa Banaya Hi Nahi !!

Kabhi-Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Dosti Ka Asar Zara Der Se Hota Hai
Ushe Lagta Hai Hum Kuch Nahi Sochte
Uske Baare Me Par Har Baat Me Zikar Uska Hi Hota Hai !!


Teri Mohabbat Main Vo Aalam Bhi Dekha Hai,
Jab Meri Her Sains Per Tera Naam Likha Hota Tha..!

Na Jane Kaha Tu Kho Gayi Iss Jahain Ki Bheed Main,

Pahle To Mera Jahain Tujhe Main Khoya Karta Tha..!


Apne dil ki baat unse keh nahi sakte,

Bin kahe bhi ji nahi sakte..!

E khuda aisi takdir bana,
Wo humse khud aakar kahe..
“HUM APKE BINA REH NAHI SAKTE”.


Apni Dosti koi PEPSI nahi Jo Dil Mange More,
NIRMA nahi jo Pehle istemal Karo fir Vishwas karo,

Apni Dosti to L I C hai,

Zindagi k sath bhi Zindgi k baad bhi !!


Zindgi ke tufaano ka sahil hai dosti,

Dil ke armano ki manzil h dosti,

Zindgi ban jayegi janat agar,
Maut tak saath rahegi aapki dosti. !!



Jeena Sikha Diya Aaapne…

Aankhein Khuli Hoh Toh Chehra Aapka Hoh,
Aankhein Bandh Hoh Toh Sapnaa Aapka Hoh,

Humey Maut Ka Na Darr Na Khauff Hoga,

Agar Kafan Ki Jagah Dupatta Aapka Hoh.


Pyaara Sa Ek Ehsaas Hain Aap,

Harr Pal Humhare Paas Hain Aap,

Jiney Ki Ek Aas Hain Aap,
Mann Ka Ek Vishwaas Hain Aap,
Shayad Ish Liye Kuch Khaas Hain Aap.


Humhara Harr Lamha Churaa Liya Aap ney,

Aankhon Koh Ek Chaand Dikha Diya Aap ney,

Humey Zindagii Toh Dii Kissi Aur ney,
Par Itna De Kar Jeena Sikha Diya Aap ney.


Wafa Ka Sila…


Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi

Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi

Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi
Har aik se poocha sabab uske na milne ka

Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi
Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya

Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi
Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya

Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi….

kya khuda bhi uska tha…?


Jisne humko chaha, use hum chah na sake,

Jisko chaha usae hum pa na sake,

Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,


Ek aur sher sunata hoon——- 
Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;

saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;

aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha????



Ye ishq nahin asan .. 

Ye ishq nahin asan ye tohfa hai khuda ka,


bandhan hai ye dilon ka ye hakikat hai zindagi ka,

ye ishq nahin asan ye nasha hai Mohabbat ka,

Ye jaan hai iss dil ka arman hai ye zindagi ka..


is baat ka mujjhe gham nahi hai,

gham hai toh sirf is baat ka ,ki tum,

humse apna dil bhi chhheen kar chale gaye

tumhi ko dil diya,tumhi ko jaan denge,

kabhi mujjhse yeh kaha karte the,

inhi baaton ke sahare tumhara intezaar kara..

inhi yaadon mein apni zindagi bita denge…

zindagi mein kucchh baatein sachh hoti hain:

ek sachh yeh hai ki main tumse pyaar karti hoon,

ek sachh yeh bhi hai ki yeh sab jaanke bhi tum mujjhe chhod kar chale gaye,

ek sachh yeh bhi hai ki tum bhi mere liye tadapte ho,
aur ek sachh yeh bhi sunlo ki main tumhara meri zindagi mein 
waapis aane ka aaj tak intezaar karti hoon.

milta nahi hai pyaar aasaani se zindagi mein,

mera naseeb bhi kabhi khula tha…

par ab toh dil mein pathjhad hi hai,

fir bhi aisa lagta hai ki tum aayethe kal bahaar banke meri zindagi mein…

dil ki ek baat tumhe batati hoon,

phir chahe tum ise maano ya na maano,

kehti to hoon sabse ki tum mere dost ho…

magar pyaar ka ddeep dil mein tumhare liye hi jalati hoon…

kya yaad hai tumhe woh din?

jab hum ek saath ghooma karte the?

jab humara kabza tha tumhare khayalon par raat aur din…

aur hum bhi tumse kam pyaar nahi karte the…

No comments:

Post a Comment

If you like this article, please share with your friends and/or comment or suggest us on the box below. Thank you